Bewa Sahara Card Registration 2025 Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ne Bewa Sahara Card program launch kiya hai. Yeh program un aurton ke liye hai jo bewa hain (jinke shohar wafat pa chuke hain) aur jo apni roz marra ki zarooriyat poori nahi kar saktin. Iss scheme ke tehat eligible bewa aurton ko har mahine Rs. 10,000 milay ga. Yeh paisay unki zindagi ko asaan banayenge aur wo izzat ke sath apni zindagi guzarsakengi.
Is program ka maqsad un aurton ki madad karna hai jo 45 saal se zyada ki umr ki hain aur financial problems face kar rahi hain. Is se wo apni zindagi khushi aur sakoon se guzar sakengi, ibadat mein waqt guzar sakta hai, aur society mein unki izzat barh sakti hai.
Eligibility Criteria
Agar aap yeh card lena chahti hain to neeche diye gaye conditions ko pura karna zaroori hai. Agar aik bhi condition puri nahi hoti, to aap eligible nahi hongi.

Sharayt yeh hain:
-
Pakistani shehri hon
-
CNIC (Identity Card) Pakistani ho
-
Umr 45 saal se zyada ho
-
Koi qeemti jaidaad ya zameen na ho
-
Koi karobar ya business na ho jisme tax dena parta ho
-
Kisi aur government allowance ka faida na le rahi hoon
-
Household income Rs. 50,000 se kam ho
-
Hajj ya Umrah ke liye kabhi bahar mulk na gayi ho
-
Koi gari aap ke naam par na ho
Zaroori Documents
Agar aap yeh card lena chahti hain, to yeh documents ready rakhein:
-
Apna CNIC (Shanakhti Card)
-
Shohar ka death certificate
-
Nikah Nama (Shadi ka saboot)
-
Age proof (45 saal se zyada)
Ensure karein ke sab documents updated aur bilkul theek hon.
Registration Ka Tarika
Government ne registration process bohat asaan banaya hai. Yahan dekhain kaise apply karna hai:
-
Apne Tehsil Zakat Committee office jaayein: http://zmis.swkpk.gov.pk/zmis/Zoiwidowmis
-
Bewa Sahara Card ka form hasil karein
-
Form ko theek se bhar ke required documents attach karein
-
Chairman ya Secretary se signature karwaayein
-
Form submit karein aur verification ka wait karein
Visit: Who Will Be Removed in BISP 8171 New Update 2025
Verification Ka Amal
Form submit karne ke baad:
-
Tehsil Zakat Committee aap ka form check karegi
-
Verification ke liye team aap ke ghar bhi aa sakti hai
-
Agar sab kuch sahi ho to aap ko Bewa Sahara Card issue ho jaye ga
-
Phir aap har mahine Rs. 10,000 hasil kar sakti hain
Program Ke Fayde
Is card ke kai fayde hain:
-
Har mahine Rs. 10,000 ki financial madad
-
Roz marra ki zarooriyat ka poora hona
-
Apni izzat aur khud mukhtari hasil karna
-
Health aur ghar ka kharch asani se manage karna
-
Apne bachon ki taleem aur future mein madad dena
-
Society mein izzatdaar muqam hasil karna
Conclusion
Punjab Government ne bewa aurton ke liye bohat acha qadam uthaya hai. Is program ka registration process asaan aur simple hai. Agar aap ya aap ki koi jaan pehchan wali is program ke liye eligible hai, to Tehsil Zakat Committee se rabta karein aur form hasil kar ke apply karein.
Yeh program aapki zindagi behtar banane ke liye hai izzat, sukoon aur khushi ke sath guzarne ka moka hasil karein.