CM Punjab Announces Rs. 5,000 per Acre Relief Punjab ki Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ne aik zabardast package announce kiya hai jo PKR 110 billion ka hai. Is package ka sab se ahem hissa hai “Wheat Farmer Support Program” jisme har gandum kaashat karne wale kisan ko Rs. 5,000 per acre ki subsidy milegi.

Is scheme ka maqsad hai 550,000 kisano ko support karna, gandum ki paidawaar barhana aur Punjab ke agriculture system ko modern banana.
Visit: BISP Phase Payment 2 Update – 60 Districts Payments Receive Next Week
Rs. 5,000 Per Acre Scheme Kya Hai?
Ye aik direct cash subsidy hai jo chhote aur darmiyani kisano ke liye announce ki gayi hai. Iska maqsad hai unhein unke input costs mein madad dena jaise:
-
Beej (seeds)
-
Khaad (fertilizer)
-
Zahr (pesticides)
-
Diesel
-
Aabpashi (irrigation)
Quick Overview:
-
Announced by: CM Maryam Nawaz Sharif
-
Amount: Rs. 5,000 per acre
-
Target: Wheat farmers across Punjab
-
Purpose: Kharch kam karna aur paidawaar barhana
Eligibility Criteria
-
Kisan ka Punjab Land Record Authority ya Agriculture Department mein registered hona zaroori hai
-
Land Punjab mein hi kaashat ho
-
Zameen ki milkiyat ya lease ka record hona chahiye
-
Kam az kam 5 acres par gandum ki kaashat ho
-
E-Wheat Registration System mein registered ho ya Kisan Card rakhta ho
Rs. 110 Billion Package Ke Mazeed Hissay
✅ Green Tractor Scheme Rs. 10 Billion
-
Har tractor par PKR 1 million subsidy
-
9,500 kisano ko faida
-
1,000 free tractors un kisano ke liye jin ke paas 12.5 to 50 acres zameen hai (har tractor ki qeemat PKR 4.5 million tak)
✅ Super Seeder Subsidy Rs. 8 Billion
-
Kisano ko seeders kharidne mein madad milegi
Visit: BISP Survey Deadline June 30 2025 – Last Chance
✅ Electronic Warehouse Receipt (EWR)
-
4 mah tak free storage
-
Government storage ka kharcha khud uthayegi
-
Gandum ko climate ya market risk se bachaega
✅ Wheat Procurement Policy
-
Flour mills ko 25% wheat local market se lena hoga
-
Rule na manane par license cancel ho sakta hai
✅ Irrigation Tax Exemption
-
2025 mein kisi bhi irrigation tax kaat nahi hoga
✅ Cotton Support
-
Har block par PKR 25,000
-
Total: PKR 375 million
✅ Agriculture Internships
-
1,000 agriculture graduates ko internship milegi
-
Har intern ko PKR 60,000 mahana scholarship
Visit: Ehsaas Apna Ghar Scheme KPK Apply Late Date 8 May 2025 – Full Guide
Apply Karne Ka Tarika Kisan Card Registration
-
Agriculture offices ya Bank of Punjab ka visit karein
-
Apna CNIC, zameen ke papers, aur gandum ki kaashat ka proof submit karein
-
Forms download karein:
🔹 https://agripunjab.gov.pk
🔹 https://kisan.punjab.gov.pk -
Kisan Card se subsidy hasil karein:
-
Rs. 5,000 per acre
-
Tractor ya Seeder subsidy
-
-
EWR (Free Storage) ke liye apne agriculture office se contact karein
-
Helpline: 0800-17000
Aakhri Baat
Ye Rs. 5,000 per acre wali scheme CM Maryam Nawaz Sharif ka aik bold qadam hai jiska maqsad hai kisano ki zindagi behtar banana, gandum ki paidawaar barhana, aur Punjab ke agriculture sector ko mazboot karna.
Agar ye scheme transparent aur efficiently implement hui, to ye na sirf kisano ka mustaqbil badal sakti hai, balkay Punjab ki economy aur food security mein bhi revolution laa sakti hai.
Punjab Student Card Education Transport Scholarship 2025 : Good New For Students