BISP Survey Deadline June 30 2025 – Last Chance

BISP Survey Deadline June 30 2025 se financial madad lene wale tamam ghareeb aur mustahiq khandanon ke liye ek bohot ahem elaan samne aaya hai. Un tamam logon ko jo pichlay teen saalon se madad le rahe hain lekin ab tak apna survey update nahi karwaya, unhein foran ye process mukammal karna zaroori hai.

Agar aap ne survey update nahi karwaya, to aap ki madad bund bhi ho sakti hai, jese ke BISP ki taraf se wazeh tor par kaha gaya hai.

BISP Survey Deadline June 30 2025 - Last Chance
BISP Survey Deadline June 30 2025

πŸ” Yeh Survey Kyun Zaroori Hai?

BISP ka madad milne ka tareeqa NSER survey ke zariye hota hai. Ab BISP ne ek naya verification system introduce kiya hai jisme sab puranay mustahiq logon ko dobara survey karna hoga. Is ka maqsad yeh maloom karna hai ke kya aap ab bhi waqai is madad ke mustahiq hain ya nahi.

Survey ke zariye yeh cheezen check ki jati hain:

  • Kya aap ki maashi halat ab bhi kamzor hai?

  • Kya aap ya aap ke ghar ka koi fard sarkari nokri mein to nahi?

  • Kya aap ka PMT score had se zyada to nahi ho gaya?

Agar aap yeh survey time par complete nahi karte, to BISP system aap ko automatically na-ahl qarar de dega.

Visit: PMT Score or Qist Na Milne Ki kya Waja hy

πŸ‘₯ Kin Logon Ko Survey Zaroor Karna Hai?

  • Jo log teen saal se BISP ki madad le rahe hain

  • Jin logon ne ab tak apna “Dynamic Survey” complete nahi kiya

  • Aur jo log June 2025 ke baad bhi madad hasil karna chahte hain

Agar aap in mein se kisi bhi category mein aate hain, to survey zaroor karwa lein warna aap future mein kisi qism ki madad ke liye eligible nahi rahenge.

πŸ“„ Documents Jo Aap Ko Sath Le Kar Jane Honge:

  1. Apna CNIC (Shanakhti Card)

  2. Bijli ka bill (ghar ka proof)

  3. Bachon ke Bay Forms

  4. Disability certificate (agar kisi member ko disability hai)

  5. Shohar ka death certificate (widow hone ki surat mein)

πŸ“ Survey Kahan Se Update Hoga?

Bohat se log confused hain ke survey kahan se hoga. To wazeh taur par sun lein:

  • Sirf BISP ke Tehsil offices se survey update ho sakta hai

  • Jin ilaqon mein BISP mobile vans hain, wahan mobile service ke zariye bhi survey ho sakta hai

  • Online survey ka koi tareeqa nahi haiΒ agar koi aapko online survey ka keh raha hai to wo jhoot bol raha hai. Aise logon ki BISP helpline par report karein

Visit: Apni Zameen Apna Ghar Application Start 2025

βœ… Survey Karwane Ka Asaan Tareeqa Step by Step

  1. Apne tamam zaroori documents le kar qaribi BISP office chalay jaayein

  2. Wahan registration desk par jaa kar apna CNIC number dein aur token lein

  3. Waiting area mein apni bari ka intezar karein

  4. Jab aapki bari aaye, to survey registration room mein chalay jaayein

  5. BISP ka staff aap se questions poochega har baat ka jawab sahi aur imandari se dein

  6. Survey complete hone ke baad aapko SMS ke zariye confirmation milegi

  7. Kuch dino ke andar eligibility ka faisla bhi aapko bata diya jaayega

❌ Agar Survey Waqt Par Nahin Karwaya To Kya Hoga?

  • Agar aap ne 30 June 2025 tak survey complete nahi kiya, to aap future ki kisi bhi installment ke liye eligible nahi rahenge

  • Saath hi, aap agli 2 saal ke liye program mein dobara apply bhi nahi kar sakte

Visit: 8171 Web Portal Update 2025

Is liye survey delay na karein, warna aap permanently disqualify ho jaayenge.

πŸ“’ Aakhri Paighaam

BISP ka ye qadam is liye uthaya gaya hai taake sirf waqai mustahiq logon ko madad milti rahe. Upar di gayi maloomat aapki madad ke liye hai taake aap asaani se apna survey complete kar sakein.

Agar aapko kisi baat ki samajh nahi aayi ya koi aur sawaal hai, to comment mein poochh sakte hainΒ madad ke liye hum yahan hain.

Ehsaas Undergraduate Scholarship 2025 – Online Apply

Leave a Comment