Khas Khabar! Punjab ki sarkar ne muft mein 3 marla ke residential plots dene ka faisla kiya hai. Ye scheme un logon ke liye hai jo apna ghar banana chahte hain lekin zameen nahi rakhte.
Scheme Ki Khas Batein
-
19 districts mein plots available
-
Computerized lottery se selection – koi sifarish nahi chalti
-
Ghar banane ke liye 6 mah ka time milega
-
Online apply karna hoga – azag.punjab.gov.pk par

Kon Apply Kar Sakta Hai?
Agar aap:
✔ Punjab ke resident ho (CNIC address eligible district ka)
✔ Koi zameen/property nahi rakhte (na aap, na biwi/bacha)
✔ Bank defaulters mein shamil nahi
✔ Criminal record nahi hai
✔ Sachchi information de sakte hain
Apply Kaise Karein?
1️⃣ Website Visit Karein
-
azag.punjab.gov.pk par jayein
2️⃣ Account Banayein
-
Apna CNIC number daalein
-
Strong password banayein
3️⃣ Form Bharein
-
Apni details daalein
-
Zaruri documents upload karein
4️⃣ Submit Karein
-
Verification ke baad computer selection karega
Zaruri Documents
-
Aapka CNIC
-
Biwi/bache ka CNIC (agar shadi shuda hain)
-
Family Registration Certificate (FRC)
-
Bijli ka bill/Rent agreement
-
Income proof
-
Affidavit (property na hone ka)
Jaruri Districts
District | Kitne Plots |
---|---|
Jhelum | 730 |
Kasur | 388 |
Faisalabad | 257 |
Lodhran | 218 |
Baqi | 15-50 |
Sawal-Jawab
Q: Last date kab hai?
A: Abhi koi last date nahi jaldi apply karein
Q: Kya kiraye pe rehne waley apply kar sakte hain?
A: Haan, agar koi property nahi hai to
Q: Plots kaise milenge?
A: Computer ki lottery se koi bhedbhav nahi
Q: Disabled logon ke liye kya hai?
A: Disability certificate upload karein
Akhri Salah
Ye sone ka mauka hai apna ghar banane ka!
✅ Aaj hi apply karein
✅ Sirf official website use karein
✅ Kisi agent/dalal pe bharosa na karein
Madad ke liye:
📞 0800-09100 par call karein
🏢 Apne najdiki PHATA office jayein