CM Punjab Free Livestock Program 2025 – Full Guide

Chief Minister Maryam Nawaz Sharif ne Free Livestock Program 2025 launch kiya hai, jiska maqsad hai Punjab ke gaon ke logon, khaaskar aurton aur chhote kisano ko support karna. Program ka budget 2 Arab Rupees hai.

Benefits

1. Rozgar aur Maashi Khud Mukhtari:

11,000 ghareeb aurton ko muft gaiyaan, bhainsain aur bakriyaan milengi, jisse wo doodh bech kar rozgar kama sakti hain. Ek bhains jo roz 12 litre doodh deti hai, wo rozana ki aamdani ka source ban sakti hai jese khanay, taleem aur ghar ke kharche.

2. Mustaqil Income:
Janwar palna ek lambi muddat ka kaam hai doodh aur meat bech kar har mahine paisa kamaya ja sakta hai.

3. Izzat aur Khud Mukhtari:
Maryam Nawaz ne kaha:
“Gaon ki be-sahara aurton ko izzat ka rozgar milega.”

4. Livestock Card (Bina Sood Ke Qarz):
Jin kisano ke paas 5 se 10 bachray hain, unko 135,000 se 270,000 Rupees tak ka interest-free qarz milega taake wo chaarah (Wanda, Silage, etc.) le saken aur apne janwaron ka khayal rakh saken.

Kaun Apply Kar Sakta Hai? (Eligibility)

  • Target: Beewa, talaaq-shuda auratein, ya wo auratein jo khud ghar chala rahi hain.

  • Umar ki Limit: Livestock lene ke liye aurat ki age 55 se kam, aur loan ke liye 18 se 60 saal honi chahiye.

  • Ilaka: South Punjab ke 12 zille:

    • Multan, Khanewal, Lodhran, Vehari, Bahawalpur, Bahawalnagar, Rahim Yar Khan, Dera Ghazi Khan, Layyah, Muzaffargarh, Rajanpur, Kot Addu

Visit: Apni Zameen Apna Ghar 3 Marla Scheme 2025

  • PMT Score: Loan ke liye aapka PMT score 32 se kam hona chahiye (yaani aamdani kaafi kam honi chahiye)

  • CNIC & Domicile: Punjab ka CNIC aur domicile hona zaroori hai

  • Extra Sharaait:

    • Janwar 1-2 saal tak bech nahi sakte

    • Janwar sambhalne ki jagah aur zimmedari zaroori hai

📝 Apply Karne Ka Tareeqa

Muft Livestock Ke Liye:
  1. Veterinary Hospital Visit:
    CNIC, Punjab domicile aur ghurbat ka saboot le kar qareebi animal hospital jaayein.

  2. Online Apply:

  3. Lottery System:
    Agar eligible hue to aapka naam lottery system mein select hoga

  4. SMS Aane Par:
    Agar select hue to aapko SMS milega, uske baad aap janwar le sakte hain

Visit: Who Will Be Removed in BISP 8171 New Update 2025

Interest-Free Loan (Livestock Card):

  1. SMS Karein:
    Type karein: ID Card Number bhejein 8070 par.

  2. Online Apply:
    Website: pser.punjab.gov.pk

  3. Verification:
    Afsar aapke janwaron ka jaiza leinge

  4. Card Issuance:
    Agar approve ho gaye to aapko Livestock Card milega, jisse registered dukaandar se chaarah le sakte hain

Important Dates:

  • Muft Janwar Apply Karne Ki Akhri Date: 30 April 2025

  • Livestock Card Loan Ki Date: 11 December 2024

(Website par ja kar naye phase ya updates zaroor check karein)

Visit: Bewa Sahara Card 10000 PKR Grant For Widows In Punjab

🌐 Official Websites:

☎️ Helpline (24/7):

08000-9211 Kisi bhi waqt madad ke liye call karein

📊 May 2025 Tak Ki Latest Info:

  • 5,000 se zyada janwar rural aurton ko mil chuke hain

  • 11 Arab Rupees ka loan 80,000 kisano ko diya ja chuka hai

  • Program mein training aur veterinary services bhi shamil hain taake sustainability barh sake

Punjab Ration Card 2025 Registration Online

Leave a Comment