Punjab Ration Card Registration Cumming Soon 1 ke gareeb logon ke liye aik zabardast khabar hai! Chief Minister Maryam Nawaz ne Ration Card Scheme ka aaghaz kar diya hai. Is scheme ke tehat 1.2 million gareeb khandan har maheena muft rashan hasil kar sakein ge. Har 4 mah baad Rs. 10,000 ke barabar rashan diya jaye ga.

Program ka pehla phase start ho gaya hai jisme 1.25 million log register hon ge. Agle phase me ye taadaad mazeed barhai jaye gi.
Eligibility
Agar aap ye rashan hasil karna chahtay hain to ye sharaait zaroori hain:
-
Sirf Punjab ke shehri apply kar sakte hain
-
Mahana aamdani Rs. 50,000 se kam honi chahiye
-
Valid CNIC hona chahiye
-
Government mulazimeen aur tax payers eligible nahi hain
-
Benazir Program ya Punjab Loan Program ke mustafiq log bhi eligible nahi
-
Sirf ek fard har khandan se apply kar sakta hai
-
Jinhon ne Ramzan Ration Program ka faida uthaya tha, woh bhi shaamil ho sakte hain
Rashan Me Kya Kya Milega?
Har maheene gareeb khandanon ko ye cheezen di jayein gi:
-
Atta
-
Daal
-
Cheeni
-
Aur zaroori khorak ki items
Registration Kaise Karni Hai?
Filhal online registration ka portal available nahi hai. Lekin 29 April 2025 ko hukumat registration ka tareeqa bataye gi. Ye SMS code (jaise 8171) ya kisi official portal ke zariye ho sakta hai.
1st May 2025 se registration ka aaghaz hoga. Jinhon ne pehlay Ramzan Program me register kiya tha, unka data bhi istemal hoga.
Rabta Ki Tafseelat
-
Website: Abhi launch nahi hui
-
Contact Number: Jaldi share kiya jaye ga
-
Updates ke liye humari website ko visit karte rahen
Akhri Baat
Punjab Ration Card Program 2025 gareeb logon ke liye hukumat ka ek behtareen qadam hai. Chief Minister Maryam Nawaz ki taraf se yeh initiative logon ko mehngai ke is dor me sahara dene ke liye hai. Hum aapko har nai update yahan batate rahen ge, is page ko bookmark karna na bhoolen!