
8171 Web Portal BISP Online Status Kaise Check Karein
8171 Web Portal launch kiya hai jahan aap apna Benazir Income Support Program (BISP) ya Ehsaas Program ka status online check kar saktay hain. Yeh Web portal ab 2025 ke liye fully active hai aur yahan se milti hai sabse tez aur updated maloomat aapki payment ke mutaliq.
8171 Portal Se Kya Kya Check Kiya Ja Sakta Hai?
✅ CNIC number se BISP payment status
✅ Taleemi Wazaif ka record
✅ Kafalat Program ki detail
✅ Eligibility status
✅ Registration ki maloomat
Visit: https://www.bisp.gov.pk/
Yeh portal sirf kafalat payment ke liye nahi, Benazir Taleemi Wazaif aur doosray programs ke liye bhi kaam karta hai.
8171 SMS Service Internet Ke Baghair Status Check Karein
Agar aap ke paas smartphone ya internet nahi hai, to bhi aap asaani se apna status check kar saktay hain:
📱 Tareeqa:
Apna CNIC number likhein
Usay 8171 par SMS karein
Kuch hi der mein aapko SMS ke zariye maloom ho jaye ga ke aap eligible hain ya nahi, aur aapki payment ka kya status hai
Yeh service bilkul free hai aur 24 ghante available rehti hai.
Online Registration Ka Asaan Tareeqa
Agar aap pehli baar apply karna chahte hain ya dobara registration karwana chahte hain to:
Najdeeki BISP center visit karein
Apna valid CNIC le kar jaayein
Dynamic survey complete karein
Phir 8171 web portal par check karein ke aap eligible hain ya nahi